kash mein terey haseen hath ka kangan hota tum barey pyar sey chahat sey barey maan key sath apni nazok si kalaie mein charati mujko aur betabi sey farqat key khazaan lamhoon mein tum kissi soch mein doobi jo gumati mujko mein terey hath ki khushboo sey mehak sa jata jab kabi moor mein a kar mujey chooma karti terey hatoon ki mein hidat sey dahek sa jata raat ko jab bi tum neend key safar par jati maremarein hath ka takiya banaya karti mein terey kann sey lag kar kaie batein karta teri zulfoon ko terey gaal ko chuma karta jab bi tum bandey qabaa kolney lagti jana apni ankoon ko terey hussan sey khera karta mujko betaab sa raktaa teri chahat ka nasha mein teri rooh key gulshan mein mehkta rehta mein terey jism key angan mein khanaketa rehta kuch nahi to yahi benaam sa bandaan hota (kash mein tery hassen hath ka kangan hota )
